Welcome to FLYING DREAM BOAT!! My lovely readers and those who happen to land on my page by mistake.Man who has never made a mistake has never tried anything new.
Sunday, 30 December 2018
Friday, 28 December 2018
Wednesday, 26 December 2018
Monday, 24 December 2018
Thursday, 20 December 2018
Saturday, 15 December 2018
Friday, 14 December 2018
Monday, 10 December 2018
Thursday, 6 December 2018
Friday, 30 November 2018
Sunday, 25 November 2018
Wednesday, 21 November 2018
Monday, 19 November 2018
Sunday, 18 November 2018
Saturday, 17 November 2018
Monday, 12 November 2018
Thursday, 8 November 2018
Monday, 5 November 2018
Friday, 2 November 2018
Wednesday, 31 October 2018
Monday, 22 October 2018
O SAJNA BARKHA BAHAR AAYI { MOVIE ~ PARAKH (1960) }
O sajna
O sajna barkha bahaar aayi
ras ki puhaar layi,
ankhiyon mein pyaar layi
O sajna barkha bahaar aayi
ras ki puhaar layi,
ankhiyon mein pyaar layi
O sajna ...
Tumko pukare mere man ka papihara
Tumko pukare mere man ka papihara
Meethi meethi agni mein jale mora jiyara
O sajna barkha bahaar aayi
ras ki puhaar layi,
ankhiyon mein pyaar layi
Aesi rimjhim mein O sajna
Pyaase pyaase mere nayan
Tere hi khwaab mein kho gaye
Sawali saloni ghata jab jab chaayi
Sawali saloni ghata jab jab chaayi
Ankhiyon mein rayn aa gayi
Neendiyan na aayi
O sajna barkha bahaar aayi
ras ki puhaar layi,
ankhiyon mein pyaar layi
O sajna
O sajna barkha bahaar aayi
ras ki puhaar layi,
ankhiyon mein pyaar layi
O sajna...
ABHI NA JAO CHORHKAR KE DIL ABHI BHARA NAHI {MOVIE ~ HUM DONO 1961 }
Abhi na jao chorhkar ke dil abhi bhara nahi
Abhi na jao chorhkar ke dil abhi bhara nahi
Abhi abhi toh ayi ho
Abhi abhi toh ayi ho
Bahaar banke chaayi ho
Hawa zara mehek toh le
Nazar zara behek toh le
Yeh shaam dhal toh le zara
Yeh shaam dhal toh le zara
Yeh dil sambhal toh le zara
Mai thori deir jee toh lun
Nashee ke ghoont pee toh lun
Nashee ke ghoont pee toh lun
Abhi toh kuch kaha nahi
Abhi toh kuch suna nahi
Abhi na jao chorhke ke dil abhi bhara nahi
Sitare jhilmila uthe
Sitare jhilmila uthe
Chiraag jagmaga uthe
Bus ab na mujhko tokna
Bus ab na mujhko tokna
Na badhke rah rookna
Agar mai ruk gayi abhi
to jaa na paongi kabhi
Yehi kahoge tum sada
ki dil abhi nahi bhara
Jo khatum ho kisi jagah
Ye aisa silsila nahi
Abhi nahi abhi nahi
nahi nahi nahi nahi
Abhi na jao chorhkar ke dil abhi bhara nahi
Andheri aas
Andheri aas chorhke
Andheri pyaas chorhke
jo roz yuhi jaaogi to kis tarah nibhaogi
Ki zindagi ki rah mein
Jawan dilon ki chah mein
kayi makaam ayenge
Jo humo aazmayenge
Bura na maano baat ka
Ye pyaar hai gila nahi
Haan
Yehi kahoge tum sada ke dil abhi bhara nahi
Haan
Dil abhi bhara nahi
nahi nahi
nahi nahi
Saturday, 13 October 2018
DOST KI SALAH
Durga das tha toh dhani kisaan, kintu bahut aalsi tha.
Woh na apne kheit dekhne jata tha, na khalihaan.
Apni gaay-bhainson ki bhi woh khoj khabar nahi rakhta tha.
Aur na apne gharke cheezon ki hi dekh bhaal karta tha .
Sab kaam woh naukaron par chorh deta tha. Uske aalas ki wajah
se uske ghar ki hala bahut kharab thi.
Usko kheti me nuksaan hone laga. Gaayke dudh ghee se bhi usko
kuch laabh nahi ho raha tha.
Ek din Durga das ka dost Harish uske ghar aaya. Harish ne Durga
das ke gharka haal dekha. Usne yeh samajh liya ki samjhane se
aalsi Durga das apna swabhaav nahi chorega. Isliye usne apne
dost ki bhalayi karne ke liye usse kaha ~
Dost! "Tumhari musibat dekh kar mujhe bada dukh ho raha hai.
Tumhari iss halat ko door karne ka bahut asaan tarika
mai janta hun."
Durga das ~ " Krpa karke wo upay tum mujhe bata do.
Mai usse Awashya karunga"
Harish ~ 'Sab chidhiyon ke jaagne se pehle hi Maansarowar par
rehne wala ek safaid hans prithvi par aata hai.
Wo dopahar din hote hote laut jata hai. yeh toh pata
nahi ki wo kab kahan ayega, lekin jo usko dekh leta hai,
usko kabhi kisi cheez ki kaami nahi hoti.'
Durga das ~ 'kuch bhi ho, mai us hanska darshan awashya karunga.'
Harish chala gaya. Durga das dusre din bade savere utha. Wo gharse
bahar nikla aur hansi khoj me kheton me gaya. Wahan usne deha ki ek
aadmi uske kheit se gehu apne kheiton me le ja raha hai.
Durga das ko dekh kar wo sharam saar ho gaya aur maafi mangne laga.
Tumhari iss halat ko door karne ka bahut asaan tarika
mai janta hun."
Durga das ~ " Krpa karke wo upay tum mujhe bata do.
Mai usse Awashya karunga"
Harish ~ 'Sab chidhiyon ke jaagne se pehle hi Maansarowar par
rehne wala ek safaid hans prithvi par aata hai.
Wo dopahar din hote hote laut jata hai. yeh toh pata
nahi ki wo kab kahan ayega, lekin jo usko dekh leta hai,
usko kabhi kisi cheez ki kaami nahi hoti.'
Durga das ~ 'kuch bhi ho, mai us hanska darshan awashya karunga.'
Harish chala gaya. Durga das dusre din bade savere utha. Wo gharse
bahar nikla aur hansi khoj me kheton me gaya. Wahan usne deha ki ek
aadmi uske kheit se gehu apne kheiton me le ja raha hai.
Durga das ko dekh kar wo sharam saar ho gaya aur maafi mangne laga.
Kheiton se wo ghar aaya aur fir gaay ghar gaya. Wahan ka rakhwala
gaay ka dudh nikaal kar apnne laute me bharke le jaane wala tha.
Durga das ne usse pakad liya.
Ghar aake Durga das bhojan karke fir hans ki khoj me chala gaya.
wo fir kheito me gaya toh dekha ki kaam karne wale log toh aaye hi
nahi hain. Fir usne unka intezaar kiya aur jab wo aaye sabko danta
aur samjhaya. Iss tarah wo jahan gaya usne koi na koi haani hote
hue rok di.
Safaid hansi khojme Durga das rooz subah uthne aur ghumne laga. Ab uske
naukar theek kaam karne lage the. Uske yahan chori hona band ho gaya tha
Pehle wo bemaar rehta tha aur ab wo swasth bhi rehne laga.
Jis kheit se usse 10 bore anaaj nikalta tha, ab usse pacchis bore milne
lage. Gaoshalaya se bahut adhik dudh aane laga.
Ek din fir Durga das ka dost Harish uske ghar aaya.
Durga das ne kaha ~ 'Dost! Safaid hans toh mujhe ab tak nahi dikha, kintu
uski khoj me lagne se laabh bahut hua hai.
Harish hasa aur bola ~ 'Mehnet karna hi wo safaid hans hai.Mehnet ke pankh
sada ujle hote hain. Jo mehnet na karke apna kaam
naukaron par chorh dete hain, wo nuksaan uthate hain
aur jo khud mehnet karte hain aur jo khud naukaron ki
dekhbhaal karta hai, wo sampatti aur sammaan patein
hain.'
~~o~~
Saturday, 1 September 2018
KAHANI - BHAGWAAN HAR KAHEEN HAI
Datadeen apne ladke Gopal ko rooz shaam ko sone se pehle kahaniyan
sunaya karta tha. Ek din usne Gopal se kaha -'Beta! Ek bat kabhi mat
bhulna ki bhagwaan sab kaheen hai.
Gopal ne idhar-udhar dekh kar pucha - 'pitaji! Bhagwaan sab kaheen hai?
Wo mujhe toh kaheen dikhte nahi.'
Datadeen ne kaha -'Hum bhagwaan ko dekh nahi sakte, lekin wo hain sab
kaheen aur humare sab kaamon ko dekhte rehte hain.'
Gopal ne pita ki baat yaar kar li. Kuch din baad akaal pada. Datadeen ke
kheton me koi fasal hue nahi. Ek din Gopal ko lekar raatke andheere me wo
gaon se bahar gaya. Wo dusre kisaan ke khet me se chori se thora ghehu
lana chahta tha. Gopal ko usne raste pe khada karke bola -'Tum charon
taraf dekhte raho, koi idhar aaye ya dekhe toh mujhe bata dena.'
Jaise hi Datadeen khet me ghehu kaatne laga Gopal ne kaha -
'Pitaji! Rukiye.'
Datadeen ne pucha -'Kyu, Koi dekh raha hai kya?'
Gopal -'Haan, Dekhta hai.'
Datadeen khet se bahar aaya aur charon aur dekhne laga.
Jab koi kaheen na dikha toh usne bete se pucha -
'Kaha? Kon dekh raha hai ?'
Gopal - 'Aapne hi toh kaha tha ki bhagwaan sab kaheen hai aur
sabke sab kaam dekhta hai.
Tab wo aapko khet kaate kya nahi dekhega?'
Datadeen apne bete ki baat sunkar sharam saar ho gaya.
Chori ke vichaar chorhkar wo ghar laut aaya.
~~~~o~~~~
KAHANI - PITA AUR BETA
Ek jawaan pita apne gaudh me apne bete ko lekar baitha tha.
Kaheen se udhkar ek kawwa unke chath per baith gaya.
Bete ne pita se pucha - 'yeh kya hai?'
Pita - 'kawaa hai'
Bete ne phir pucha - 'ye kya hai?'
Peeta ne phir kaha - 'kawwa hai'
Beta baar-baar puchta tha - 'kya hai?'
Pita pyaar se baar-baar kehta tha - 'kawwwa hai'
Kuch saal me beta bada hua aur pita bhudha ho gaya. Ek din
pita chatai par baitha tha. Ghar me koi uske bete se milne
aya. Pita ne pucha - 'Kon aya hai?'
Bete ne naam bata diya. Thori deer me koi aur aaya aur pita
ne fir pucha. Iss baar jhillakar bete ne kaha - 'Aap chupchap
padhe kyu nahi rehte. Aapko kuch karna-dharna toh hai nahi.
Kon aaya? Kon aaya? yeh tai-tai dinbhar kyu lagaye rehte ho?'
Pita ne lambi saans kheechi. Haath se sar pakad liya. Bade
dukh bhare swar me dheere-dheere wo kehne laga -'Mere ek
baar puchne par ab tum krodh karte ho aur tum saikadon baar
puchte the ek hi baat- 'Wo kya hai?' Maine kabhi tumhe jhidka
nahi. Mai baar- baar tumhe batata tha - 'Kawaa hai'
Apne mata-pita ke saath aisa vyavahaar karne wale ladke bahut
bhoore maane jaate hain. Tum sada iss baat ka dhyaan rakkho
ki mata-pita ne tumhare palan-poshan me kitna takleef uthayi
hai aur tumse kitna pyaar kiya hai.
~~~~o~~~~
AAS PAAS HAI KHUDA ( MOVIE - ANJAANA ANJAANI )
Dhundla jaayein jo manzilein
Ek pal ko tu nazar jhuka
Jhuk jaaye sar jahan wahi
Milta hai rab ka raasta
Teri kismet tu badal de
Rakh himmat bas chaal de
Tere saath-hi mere kadmon ke hain nishaan
Tu na jaane aas paas hai khuda
Tu na jaane ass paas hai khuda
Tu na jaane aas paas hai khuda
Tu na jaane aas paas hai khuda.....
Khud pe daal tu nazar
Haalaton se haar kar
Kahan chala re
Haath ki lakeer ko
Modhta marodta
Hai hausla re
Toh khud tere khwabon ke rang main
Tu apne jahan ko bhi rang de
Ke chalta hoon mein tere sang mein
Ho shaam bhi toh kya
Jab hoga andhera
Tab payega dar mera
Uss dar pe phir hogi teri subah
Tu na jaane aas paas hai khuda
Tu na jaane aas paas hai khuda
Tu na jaane aas paas hai khuda
Tu na jaane aas paas hai khuda
Mitt jaate hain sabke nishaan
Bas ek woh mit-ta nahin hai
Ho humsafar na tera jab koi
Tu ho jahan rahunga main wahi
Tujhse kabhi na ek pal bhi main judaa
Tu na jaane aas paas hai khuda
Tu na jaane aas paas hai khuda
Tu na jaane aas paas hai khuda
Tu na jaane aas paas hai khuda
Subscribe to:
Posts (Atom)