Ramu kal tum school kyu nahi aaye ,
Kyu tumahare aaj kal kadam dagmagaye
Ramu bola beemar tha ,
Bukhaar ka shikaar tha
Teacher boli ,rooz ka yahi bahana ,
Tum chahte nahi school aana
Tum toh the bade honhar aur creator ,
Kyu karte ho samay barbaad jakar theater
Hai samay abhi tumhara studies ka ,
Kyu role nibha rahe ho mareez ka
Dosti unse karo jo musibat me tumhara saath de
Na ki unse jo tumhi ko baad me maat de
Sangati ka bura asar padta hai ye maine mana hai ,
Aaj tumhe accha banana yahi maine thana hai
Teacher hui toh kya hua ,
Aur tu mera beta na hua toh kya hua
Hun toh maa ke jaise teri ,
Mat pariksha le meri
Kehne ko tu bhawishya hai ,
par lagta nahi manushya hai
Sudharja abhi mauka hai ,
Baadme sab dhoka hai ,
isliye maine tujhe toka hai
Fir aage na milega mauka ,
jivan lagega dukhon ka jhonka
Ho bade khandaan ke tum ,
Aur bade nadaan ho tum
Jab paisa khatum hoga sara ,
Tab na hoga koi dost tumhara
Zarurat jab hogi tumhe unki ,
Paas na aane ki denge tumhe dhamki
Dhoka de rahe ho mata pita ko abhi ,
Saath denge tumhara wo tab bhi
Ramu bola Teacher se ------
Baat kardi aapne sahi ,
Aa gayi samajh me mere sabhi
Ab karunga jum ke padhayi,
Aur kisi se kabhi na ladayi
Aab roz school me aaonga,
Sare kaayede niyum nibhaonga
Greattttt!!!! Wonderful poem!!
ReplyDeleteWaah waah Kya baat hai!
ReplyDeleteyou really have a talent!!! keep writing
ReplyDelete