Ek kisaan ne ek naivla ( mongoose ) pala hua tha. Naivla bahut hi chalakh
aur malik ki sari baat maanta tha. Ek din kisaan kaheen gaya hua tha.
Kisaan ki biwi apne bacche ko dudh peela kar sula diya aur naivle ko
waheen chorh kar wo matka aur rassi lekar kuwe se paani bharne chali gayi.
Kisaan ke biwi ke jaate hi wahan ek kala saap nikal aaya. Baccha zameen
pe kapde bichakar sulaya gaya tha aur saap bacche ki taraf hi aa raha tha .
Naivle ne ye dekha toh saap ki taraf toot padah.Usne saap ko kaat kar tukde
tukde kar dala aur gharke darwaze pe baithke kisaan ki biwi ka intezaar karne
laga.
Kisaan ki biwi matka bharkar lauti. Usne gharke bahar naivle ko dekha. Uske
muh me khoon laga dekhkar usne socha ki naivle ne bacche ko kaata hai.
Dukhi aur gusse me aakar usne bhara paani ka matka naivle ke upar maar
diya. Bechara naivla waheen kuchalke mar gaya.
wo daudh ke ghar ke andar aayi aur usne dekha uska baccha maze me
so raha hai. Aur waha ek kala saap kata padha hai. Kisaan ki biwi ko
apni bhool ka pata lag gaya. Wo bhag ke naivle ke pass gayi aur usse godh
me lekar rone lagi.
Lekin ab uske rone se kya fayda? Isliye kaha gaya hai -
Bina vichaare jo kare, so paache pachtaye |
Kaam bigade aapno, jagme hoth hasay ||
Meaning - Bina soch / vichar ke jo kaam kare wo badme pachta te hain,
aur apna kaam toh bigaad hi lete hain, sath me apni hasi bhi
jagat me udhwa lete hain.
~~~~O~~~~
No comments:
Post a Comment