Mangal bahut seedha aur saccha tha. Wo bahut gareeb tha. Din bhar
jungle me sookhi lakdiyan kaat ta aur shaam hone par unko bandhkar
bazaar jata.
Lakdiyon ko baich kar jo paise milte the, unse wo
aata, namak, jaise cheezein le kar ghar laut aata tha. Usse apni
mehnet ki kamayi pe poora santosh tha.Ek din mangal lakdi kaatne
jungle me gaya. Ek nadhi ke kinaare ek paidh ki sookhi daal kaatne
wo paidh par chadh gaya. Daal kaat te samay uski kulhadhi lakdi
me se dhili hokar nikal gayi aur nadi me gir gayi. Mangal paidh
se uthara aur Nadhi ke paani me usne bahut baar doobki lagayi,
lekin usse apni kulhadi nahi mili. Mangal dukhi hokar nadhi ke
kinaare dono hathon se sar pakad kar baith gaya. Uski ankhon se
aasu behne lage. Uske pass dusri kulhadhi khareedne ke paise
nahi the. Kulhadhi ke bina wo apna aur apne pariwaar ka paalan
kaise karega, yah bahut badi chinta usse sata rahi thi.
Jungle ke devta ko mangal pe daya aa gayi. Wo balak ka roop
dhaaran karke prakat ho gaye aur bole - 'Bhai! tum kyu ro
rahe ho?'
Mangal ne usse pranaam kiya aur kaha - 'Meri kulhadhi paani
me gir gayi. Ab mai lakdi kaise katunga aur apne biwi-baccho
ka pait kaise bharunga?'
Devta ne kaha - ' rona band karo mai tumhari kulhadhi nikaal
deta hun'
Devta ne paani me doobki lagayi aur ek sone ki kulhadhi lekar
nikle. Unhone kaha - 'Tum apni kulhadhi lo'
Mangal ne sar uthakar dekha aur kaha - ' yeh to kisi ameer
aadmi ki kulhadhi hai. Mai gareeb aadmi hun. Mere pass
kulhadhi banane ke liye sona kahan se ayega.Yeh toh sone ki
kulhadhi hai.
Devta ne dusri baar fir doobki lagayi aur chandi ki kulhadhi
nikalkar wo Mangal ko dene lage.
Mangal ne kaha - 'Maharaaj! Mere bhagya khote hain. Aapne
mere liye bahut kashth uthaya, par meri kulhadhi nahi mili.
Meri kulhadhi toh sadharan lohe ki hai.
Devta ne teesri baar doobki lagakar Mangal ki lohe ki
kulhadhi nikaal di. Mangal prasan ho gaya. Usne dhanyawaad
dekar apni kulhadhi le li. Devta Mangal ki sacchai aur
imaandari se bahut prasan hue. wo bole - ' Mai tumhari
sacchai se prassan hun. Tum ye dono kulhadhi bhi le lo.
Sone aur chandi ki kulhadhi paa kar Mangal ameer ho gaya.
Wo ab lakdi kaatne nahi jata tha. Uske padosi Madhav ne
Mangal se pucha - 'Tum ab lakdi kaatne kyu nahi jaate?'
Seedhe swabhaav ke Mangal ne sab baatein sach-sach bata
di. Lalchi Madhav sone chandi ki kulhadhi ke lalach se
dusre din apni kulhadhi leker usssi jungle gaya. Usne
ussi paidh par lakdi kaatna shuru kiya. Jaan-bhujhkar
usne apni kulhadhi naadi me gira di aur paidh se neeche
uthar kar rone laga.
Jungle ke devta Madhav ke lalach ka dandh dene fir prakat
hue. Madhav se puchkar unhone naadi me doobki lagakar
sone ki kulhadhi nikaali. Sone ki kulhadhi dekhte hi Madhav
chillah utha - 'Yahi meri kulhadhi hai'.
Jungle ke devta ne kaha - 'Tu jhoot bolta hai, ye teri
kulhardhi nahi hai.
Devta ne wo kulhadhi paani me fek di aur wo adrishya ho gaye.
Lalach me padne se Madhav ki apni kulhari bhi kho gayi aur
wo rota pachtata ghar laut aaya.
~~~~o~~~~
No comments:
Post a Comment