Ek bahut ameer aadmi ne ek mandir banwaya. Mindir me bhagwan ki
pooja karne ke liye ek poojari rak-kha. Mandir ke kharche ke liye
bahut si bhumi, khet, aur bagiche mandir ke naam lagaye. Unhone
aisa bandobast kiya tha ki jo mandir me bhukhe, deen-dhukhi ya
saadhu-sant aayein, wo wahan dow-chaar din theher sakein aur unko
bhojan ke liye bhagwaan ka prassad mandir se mil jaya kare. Ab
unhe aise manushya ki zaroorat thi jo mandir ke sab kaamon ko theek
theek chalata rahe.
Bhut se log uss ameer aadmi ke paas aaye. Wo log jaante the ki agar
mandir me kaam mil jaye toh vetan accha milega. Lekin uss ameer
aadmi ne sabko lauta diya.
Wo sabse kehta tha - 'Mujhe ek bhala aadmi chahiye, mai usko apne
aap dundh lunga'.
Bhut se log dil hi dil me uss ameer admi ko galiyan dete the. Bahut
log useh bewakoof ya pagal samajhte the. Lekin wo ameer aadmi kisi
ki baat par dhyaan nahi deta tha. Jab mandir ke pat khulte the aur
log bhagwaan ke darshan ke liye aane lagte the tab wo ameer aadmi
apne makaan ki chath par baithkar mandir me aane wale logon ko
chupchap dekha karta tha.
Ek din, ek manushya mandir me darshan karne aaya. Uske kapde maile
aur faate hue the. Wo bahut padha likkha bhi nahi lag raha tha. Jab
wo bhagwaan ke darshan karke wapiss jane laga tab ameer admi ne use
apne pass bulaya aur kaha - 'Kya aap iss mandir ki vyavastha
sambhalne ka kaam sweekaar karenge?'
Wo manushya bade ashcharya me padh gaya. Usne kaha -'Mai toh bahut
padha likha nahi hun. Mai itne bade mandir ko kaise sambhaal
sakunga.
Ameer admi ne kaha -' Mujhe bahut padhe likhe admi ki zarurat nahi
hai. Mai toh ek bhale aadmi ko mandir ka vyavastha sambhale ke ka
karya dena chahta hun.
Manushya bola- 'Apne itne logon me mujhe hi kyu bhala aadmi samjha'.
Ameer admi bola - 'Mai janta hun ki aap bhale aadmi hain. Mandir ke
raste me ek eenth ka tukda mitthi me tha aur uska ek kona upar
nikla hua tha. Mai idhar bahut dino se dekhta tha ki uss eenth ke
tukde ki nok se logon ko thokar lagti thi, log girte the, ludakte
the aur uthkar chal dete the. Apko uss tukde se thokar lagi nahi,
fir bhi aapne uss dekhkar hi ukhaad dene ki koshish ki. Mai dekh
raha tha ki aap mere mazdoor se fauda mang ke le gaye aur uss
eenth ke tukde ko nikala aur kone kar diya.
Us manushya ne kaha - 'Yeh toh koi badi baat nahi hai.Raaste me
padhe, kante, kankar aur thokar lagne wali koi bhi cheeez ya eenth
ko hata dena toh har ek manushya ka kartavya hai'

~~~~o~~~~
No comments:
Post a Comment