Badshah subodhgeen pehle bahut gareeb tha. Wo ek sadharan sainik tha.
Ek din wo bandook lekar, ghodepar baithkar jungle me sheekar khelne
gaya tha. Use din usse bahut daudhna aur hairaan hona padah.
Bhut door jane par usse ek hirani apne chote bacche ke saath dikhayi
di. Subodhgeen ne apna ghoda uske peeche dauda diya.
Hirani darke mare bhaag kar ek jhadhi me choop gayi, lekin uska chota
baccha peeche chooth gaya. Subodhgeen ne hirani ke bacche ko pakad
liya aur uske pair bandh kar ghodepar usse laad liya. Bahut dhudhne
par bhi jab usse hirani nahi mili toh uss bacche ko lekar hi laut
padha.
Hirani ne dekha ki uske bache ko shikaari bandhkar le ja raha hai. Wo
apne bacche ke mohh se jhadiyon se nikal aayi aur subodhgeen ke ghode
ke peeche peeche daudhne lagi. Door jakar subodhgeen ne peeche dekha.
Apne peeche hirani ko daudhte dekh usse ashcharya hua aur daya aa gayi.
Usne uske bacche ke pair kholkar usse ghode se utaar diya. Hirani khush
hokar apne bacche ko lekar bhag gayi.
Ussi din ghar lautkar jab raat me subodhgeen soya toh usne ek sapna dekha
Usko koi dev dooth keh rahe hain ki - "Subodhgeen! tune aaj ek gareeb
hirani par jo daya ki hai, uss se khush hokar parmatma ne tera naam
Badshahon ki soochi me likh liya hai. Tu ek din badshah banega."
Subodhgeen ka sapna saccha tha. Wo aage chalkar ek badshah bana.
Ek hirani par daya karne ka usse yah phal mila.
JO JEEVON PAR DAYA KARTA HAI,
USPAR BHAGWAAN ZAROOR PRASANN HOTE HAIN.
~~~~o~~~~
No comments:
Post a Comment