Ek jawaan pita apne gaudh me apne bete ko lekar baitha tha.
Kaheen se udhkar ek kawwa unke chath per baith gaya.
Bete ne pita se pucha - 'yeh kya hai?'
Pita - 'kawaa hai'
Bete ne phir pucha - 'ye kya hai?'
Peeta ne phir kaha - 'kawwa hai'
Beta baar-baar puchta tha - 'kya hai?'
Pita pyaar se baar-baar kehta tha - 'kawwwa hai'
Kuch saal me beta bada hua aur pita bhudha ho gaya. Ek din
pita chatai par baitha tha. Ghar me koi uske bete se milne
aya. Pita ne pucha - 'Kon aya hai?'
Bete ne naam bata diya. Thori deer me koi aur aaya aur pita
ne fir pucha. Iss baar jhillakar bete ne kaha - 'Aap chupchap
padhe kyu nahi rehte. Aapko kuch karna-dharna toh hai nahi.
Kon aaya? Kon aaya? yeh tai-tai dinbhar kyu lagaye rehte ho?'
Pita ne lambi saans kheechi. Haath se sar pakad liya. Bade
dukh bhare swar me dheere-dheere wo kehne laga -'Mere ek
baar puchne par ab tum krodh karte ho aur tum saikadon baar
puchte the ek hi baat- 'Wo kya hai?' Maine kabhi tumhe jhidka
nahi. Mai baar- baar tumhe batata tha - 'Kawaa hai'
Apne mata-pita ke saath aisa vyavahaar karne wale ladke bahut
bhoore maane jaate hain. Tum sada iss baat ka dhyaan rakkho
ki mata-pita ne tumhare palan-poshan me kitna takleef uthayi
hai aur tumse kitna pyaar kiya hai.
~~~~o~~~~
No comments:
Post a Comment