Datadeen apne ladke Gopal ko rooz shaam ko sone se pehle kahaniyan
sunaya karta tha. Ek din usne Gopal se kaha -'Beta! Ek bat kabhi mat
bhulna ki bhagwaan sab kaheen hai.
Gopal ne idhar-udhar dekh kar pucha - 'pitaji! Bhagwaan sab kaheen hai?
Wo mujhe toh kaheen dikhte nahi.'
Datadeen ne kaha -'Hum bhagwaan ko dekh nahi sakte, lekin wo hain sab
kaheen aur humare sab kaamon ko dekhte rehte hain.'
Gopal ne pita ki baat yaar kar li. Kuch din baad akaal pada. Datadeen ke
kheton me koi fasal hue nahi. Ek din Gopal ko lekar raatke andheere me wo
gaon se bahar gaya. Wo dusre kisaan ke khet me se chori se thora ghehu
lana chahta tha. Gopal ko usne raste pe khada karke bola -'Tum charon
taraf dekhte raho, koi idhar aaye ya dekhe toh mujhe bata dena.'
Jaise hi Datadeen khet me ghehu kaatne laga Gopal ne kaha -
'Pitaji! Rukiye.'
Datadeen ne pucha -'Kyu, Koi dekh raha hai kya?'
Gopal -'Haan, Dekhta hai.'
Datadeen khet se bahar aaya aur charon aur dekhne laga.
Jab koi kaheen na dikha toh usne bete se pucha -
'Kaha? Kon dekh raha hai ?'
Gopal - 'Aapne hi toh kaha tha ki bhagwaan sab kaheen hai aur
sabke sab kaam dekhta hai.
Tab wo aapko khet kaate kya nahi dekhega?'
Datadeen apne bete ki baat sunkar sharam saar ho gaya.
Chori ke vichaar chorhkar wo ghar laut aaya.
~~~~o~~~~
No comments:
Post a Comment